Friday, May 30, 2008

Waqt nahi!!

(Read it at my friend's desk and when googled for this, saw many blogs with the same. It reflects the life of many of us quite nicely)

Har khushi hai logon ke daman mein,

Par ek hansi ke liye waqt nahi.

Din raat daudti duniya mein,

Jindagi ke liye hi waqt nahi.

Maa ki loree ka ehsaas to hai,

par maa ko maa kehne ka waqt nahi.

Sare rishton ko to hum maar chuke,

ab unhe dafnane ka bhi waqt nahi.


Sare naam mobile mein hain,

par dosti ke liye waqt nahi.

Gairon ki kya baat karen,

jab apno ke liye hi waqt nahi.


Aankhon me hai neend badee,

par sone ka waqt nahi.

Dil hai gamon se bhara hua,

par rone ka bhi waqt nahi.


Paison ki daud me aise daude,

ki thakne ka bhi waqt nahi.

Paraye ehsason ki kya kadr karein,

jab apane sapno ke liye hi waqt nahi.


Tu hi bata E zindagi,

is zindagi ka kya hoga,

Ki har pal marane walon ko,

jeene ke liye bhi waqt nahi.......


4 comments: